Tujhse door....
Aaj tujhse door hua ja raha hun mein,
dil ko manay ja raha hun mein,
kaash ye lamha mera saath deta,
mein tujhko door na jane deta...
aaj majoor hua ja raha hun,
tujhse door hua ja raha hun..
Hai pyar mujhe tujhse hi mere humdum,
inn hawaon ka hai ye kassor,
aaj hun mein khada tujhse kuch door,
ye duri ab lagti hai ek safar..
Iss safar mein aaj kuch thak sa gaya hun,
inn raston par chalna kuch muskil sa hai lag raha aaj,
yeh duri aaj mehsoos kar raha hun,
tujhse door hua ja raha hun..
Iss dil ko dard diye ja raha hun,
dard ke iss dhuain mein gum hua ja raha hun..
chah ke bhi tujhse kuch keh na pa raha hun,
tujhse dur hua ja raha hun....
Aaj fir tujhe harta ja raha hun
teri yaad mein jaisey khud ko khota ja raha hun,
tujhse door hua ja raha hun...
